subhen kaisi aag lagane wali thin
sub.heñ kaisī aag lagāne vaalī thiiñ
shāmeñ kaisī dhuāñ uThāne vaalī thiiñ
kaisā athāh samundar thā vo ḳhayāloñ kā
maujeñ kitnā shor machāne vaalī thiiñ
darvāze sab dil meñ aa kar khilte the
dīvāreñ chehroñ ko dikhāne vaalī thiiñ
rastoñ meñ zinda thī aahaT qadmoñ kī
galiyāñ kyā ḳhushbū mahkāne vaalī thiiñ
barsāteñ zaḳhmoñ ko harā kar detī thiiñ
aur havā.eñ phuul khilāne vaalī thiiñ
kaisī vīrānī ab in pe barastī hai
ye āñkheñ to diye jalāne vaalī thiiñ
in bātoñ se dil kā ḳhazāna ḳhālī hai
vo bāteñ jo agle zamāne vaalī thiiñ
subhen kaisi aag lagane wali thin
shamen kaisi dhuan uThane wali thin
kaisa athah samundar tha wo KHayalon ka
maujen kitna shor machane wali thin
darwaze sab dil mein aa kar khilte the
diwaren chehron ko dikhane wali thin
raston mein zinda thi aahaT qadmon ki
galiyan kya KHushbu mahkane wali thin
barsaten zaKHmon ko hara kar deti thin
aur hawaen phul khilane wali thin
kaisi virani ab in pe barasti hai
ye aankhen to diye jalane wali thin
in baaton se dil ka KHazana KHali hai
wo baaten jo agle zamane wali thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.