mazid husn fasadat ki alamat hai
mazīd husn fasādāt kī alāmat hai
tirā jamāl isī baat kī alāmat hai
jo baat kah na sakā tujh se maiñ akele meñ
mirā taḌapnā usī baat kī alāmat hai
tire liye maiñ zamāne se roz laḌtā huuñ
kabhī to soch ye kis baat kī alāmat hai
taḌap taḌap ke bhī jis kī sahar na ho paa.e
mirī ġhazal bhī usī raat kī alāmat hai
tire sivā mujhe kuchh bhī nazar nahīñ aatā
ye sab junūñ ke shurūāt kī alāmat hai
mazid husn fasadat ki alamat hai
tera jamal isi baat ki alamat hai
jo baat kah na saka tujh se main akele mein
mera taDapna usi baat ki alamat hai
tere liye main zamane se roz laDta hun
kabhi to soch ye kis baat ki alamat hai
taDap taDap ke bhi jis ki sahar na ho pae
meri ghazal bhi usi raat ki alamat hai
tere siwa mujhe kuchh bhi nazar nahin aata
ye sab junun ke shuruat ki alamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.