mazlum ka hai kaun madad-gar dekhna
mazlūm kā hai kaun madad-gār dekhnā
hai kaun zālimoñ kā parastār dekhnā
hai zer-e-teġh sar mirā mujh ko sukūñ hai
merī tarah hai kaun vafādār dekhnā
mere qalam ke vaar se nasloñ kā sar kaTā
mil jaa.e koī aisī jo talvār dekhnā
bhūkā na so.e jis kī hukūmat meñ koī bhī
kyā aisī koī miltī hai sarkār dekhnā
tum bhī zarā zamīn pe chal-phir ke dekh lo
Tiktī nahīñ hai zulm kī dīvār dekhnā
shikva bhulā ke ham ne bhī apnā liyā use
mujh sā nahīñ hai koī bhī dildār dekhnā
bīmār ho ke bhī vo shifā bāñTtā rahā
miltā hai aisā bhī koī bīmār dekhnā
us kī tarah hasīn milegā koī nahīñ
ik baar dekhnā nahīñ sau baar dekhnā
itnā yaqīñ hai lutf bahut aa.egā tumheñ
paḌh kar zarā 'turāb' ke ash.ār dekhnā
mazlum ka hai kaun madad-gar dekhna
hai kaun zalimon ka parastar dekhna
hai zer-e-tegh sar mera mujh ko sukun hai
meri tarah hai kaun wafadar dekhna
mere qalam ke war se naslon ka sar kaTa
mil jae koi aisi jo talwar dekhna
bhuka na soe jis ki hukumat mein koi bhi
kya aisi koi milti hai sarkar dekhna
tum bhi zara zamin pe chal-phir ke dekh lo
Tikti nahin hai zulm ki diwar dekhna
shikwa bhula ke hum ne bhi apna liya use
mujh sa nahin hai koi bhi dildar dekhna
bimar ho ke bhi wo shifa banTta raha
milta hai aisa bhi koi bimar dekhna
us ki tarah hasin milega koi nahin
ek bar dekhna nahin sau bar dekhna
itna yaqin hai lutf bahut aaega tumhein
paDh kar zara 'turab' ke ashaar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.