mazlum kisi dast-e-hinai ke nikalte
mazlūm kisī dast-e-hinā.ī ke nikalte
jo log irāde se gadā.ī ke nikalte
ġhazleñ mirī un par na girāñ itnī guzartīñ
pahlū jo kahīñ mad.h-sarā.ī ke nikalte
sayyād ko kyā jāniye kyā vahm guzartā
ahkām agar merī rihā.ī ke nikalte
barbādī-e-dil kā jo mirī chhiḌtā fasāna
afsāne tire dast-e-hinā.ī ke nikalte
mahrūmī-e-taqdīr kā ehsās na hotā
mauqe jo kisī dar pe rasā.ī ke nikalte
maiñ mohr-ba-lab thā yahī achchhā huā varna
ilzām mire sar hī burā.ī ke nikalte
ai 'shauq' mirā rang-e-ġhazal aur hī hotā
sadme jo mire dil se judā.ī ke nikalte
mazlum kisi dast-e-hinai ke nikalte
jo log irade se gadai ke nikalte
ghazlen meri un par na giran itni guzartin
pahlu jo kahin madh-sarai ke nikalte
sayyaad ko kya jaaniye kya wahm guzarta
ahkaam agar meri rihai ke nikalte
barbaadi-e-dil ka jo meri chhiDta fasana
afsane tere dast-e-hinai ke nikalte
mahrumi-e-taqdir ka ehsas na hota
mauqe jo kisi dar pe rasai ke nikalte
main mohr-ba-lab tha yahi achchha hua warna
ilzam mere sar hi burai ke nikalte
ai 'shauq' mera rang-e-ghazal aur hi hota
sadme jo mere dil se judai ke nikalte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.