Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazmun-e-ishq zehn-e-sitamgar mein aa gaya

Munshi Khairati Laal Shagufta

mazmun-e-ishq zehn-e-sitamgar mein aa gaya

Munshi Khairati Laal Shagufta

MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta

    mazmūn-e-ishq zehn-e-sitamgar meñ aa gayā

    dariyā simaT ke halqa-e-sāġhar meñ aa gayā

    hañgām-e-zab.h jism ne gustāḳhiyāñ jo kiiñ

    dhabbā lahū dāman-e-ḳhanjar meñ aa gayā

    aa nikle tere sāmne kyā pūchhtā hai yaar

    kuchh us ghaḌī yahī dil-e-muztar meñ aa gayā

    us sarv-qad ke qāmat-e-mauzūñ ko dekh kar

    ḳhum ai 'shagufta' naḳhl-e-sanobar meñ aa gayā

    mazmun-e-ishq zehn-e-sitamgar mein aa gaya

    dariya simaT ke halqa-e-saghar mein aa gaya

    hangam-e-zabh jism ne gustaKHiyan jo kin

    dhabba lahu ka daman-e-KHanjar mein aa gaya

    aa nikle tere samne kya puchhta hai yar

    kuchh us ghaDi yahi dil-e-muztar mein aa gaya

    us sarw-qad ke qamat-e-mauzun ko dekh kar

    KHum ai 'shagufta' naKHl-e-sanobar mein aa gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now