meyar apna humne giraya nahin kabhi
me'yār apnā ham ne girāyā nahīñ kabhī
jo gir gayā nazar se vo bhāyā nahīñ kabhī
ham āshnā the maujoñ ke barham mizāj se
paanī pe koī naqsh banāyā nahīñ kabhī
hirs-o-havas ko ham ne banāyā nahīñ shi'ār
aur apnā e'tibār gañvāyā nahīñ kabhī
ik baar us kī āñkhoñ meñ dekhī thī be-ruḳhī
phir us ke baa'd yaad vo aayā nahīñ kabhī
tanhā.iyoñ kā raaj hai dil meñ tumhāre baa'd
ham ne kisī ko is meñ basāyā nahīñ kabhī
'tasnīm' jī rahe haiñ baḌe hausle ke saath
nākāmiyoñ pe shor machāyā nahīñ kabhī
me'yar apna hum ne giraya nahin kabhi
jo gir gaya nazar se wo bhaya nahin kabhi
hum aashna the maujon ke barham mizaj se
pani pe koi naqsh banaya nahin kabhi
hirs-o-hawas ko hum ne banaya nahin shi'ar
aur apna e'tibar ganwaya nahin kabhi
ek bar us ki aankhon mein dekhi thi be-ruKHi
phir us ke ba'd yaad wo aaya nahin kabhi
tanhaiyon ka raj hai dil mein tumhaare ba'd
hum ne kisi ko is mein basaya nahin kabhi
'tasnim' ji rahe hain baDe hausle ke sath
nakaamiyon pe shor machaya nahin kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.