meyar-e-do-jahan ke muqaddar ka rizq hain
me'yār-e-do-jahāñ ke muqaddar kā rizq haiñ
mahv-e-tavāf chīzeñ hī mehvar kā rizq haiñ
hiss-e-jamāl tez ho zor-e-sipāh se
varna to bahr-o-bar bhī sikandar kā rizq haiñ
tujh se bichhaḌ ke tujh meñ hī honā hai munhadim
aise bhī kashtī-bān samundar kā rizq haiñ
hadd-e-shu'ūr hai hī yahī is jahān meñ
jitne zahīn log haiñ daftar kā rizq haiñ
ye kah ke ahl-e-dil ġham-e-duniyā ko sah ga.e
dhakke to aadmī ke muqaddar kā rizq haiñ
shahr-e-ġhalat meñ tazkira-e-ḳhair-o-shar nahīñ
vaise bhī falsafī yahāñ bandar kā rizq haiñ
me'yar-e-do-jahan ke muqaddar ka rizq hain
mahw-e-tawaf chizen hi mehwar ka rizq hain
hiss-e-jamal tez ho zor-e-sipah se
warna to bahr-o-bar bhi sikandar ka rizq hain
tujh se bichhaD ke tujh mein hi hona hai munhadim
aise bhi kashti-ban samundar ka rizq hain
hadd-e-shu'ur hai hi yahi is jahan mein
jitne zahin log hain daftar ka rizq hain
ye kah ke ahl-e-dil gham-e-duniya ko sah gae
dhakke to aadmi ke muqaddar ka rizq hain
shahr-e-ghalat mein tazkira-e-KHair-o-shar nahin
waise bhi falsafi yahan bandar ka rizq hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.