koi kar sakta hai yaro jaisa maine kaam kiya
koi kar sakta hai yaro jaisa maine kaam kiya
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
koī kar saktā hai yaaro jaisā maiñ ne kaam kiyā
yaar ke zimme dī kar nekī apne ta.iiñ bad-nām kiyā
āñkhoñ se sahlāyā kiyā maiñ talve us ke vaqt-e-ḳhvāb
itnī ḳhidmat dekh mirī ghar ġhair ke jā ārām kiyā
kaun sī shab be-nāla-o-zārī maiñ ne nahīñ kī us bin sub.h
kaun sā din be-rañj-o-musībat meñ na ro ro shaam kiyā
kuchh na chalā bas us pe azīzo apnī hī maiñ jaan pe khelā
āḳhir dard-e-hijr ne us ke merā kaam tamām kiyā
shab kahā maiñ ne us se mirā dil zulf kā terī banda hai
kyuuñ use tū ne qaidī-e-dām-e-sumbul-e-mushkīñ-fām kiyā
kaafī thā us kī bastagī ko to tār-e-kākul-e-rishta-e-zulf
kar ke asīr-e-halqa-e-gesū kyuuñ use be-ārām kiyā
chīñ-ba-jabīñ ho bolā duur ho tujh ko hai saudā dīvāne
chhūTne kā kyuuñ us ke tū ne dil meñ ḳhayāl-e-ḳhām kiyā
avval murġh rishta bapā sā thā pāband-e-tār-e-zulf
halqa-e-gesū meñ lā us ko āḳhir said-e-dām kiyā
aarzū yak bosa kī rakhtā dil meñ 'jahāñdār' ai pyāre
la.al-e-lab-e-shīrīñ se tum ne par na kabhū in.aam kiyā
koi kar sakta hai yaro jaisa main ne kaam kiya
yar ke zimme di kar neki apne tain bad-nam kiya
aankhon se sahlaya kiya main talwe us ke waqt-e-KHwab
itni KHidmat dekh meri ghar ghair ke ja aaram kiya
kaun si shab be-nala-o-zari main ne nahin ki us bin subh
kaun sa din be-ranj-o-musibat mein na ro ro sham kiya
kuchh na chala bas us pe azizo apni hi main jaan pe khela
aaKHir dard-e-hijr ne us ke mera kaam tamam kiya
shab kaha main ne us se mera dil zulf ka teri banda hai
kyun use tu ne qaidi-e-dam-e-sumbul-e-mushkin-fam kiya
kafi tha us ki bastagi ko to tar-e-kakul-e-rishta-e-zulf
kar ke asir-e-halqa-e-gesu kyun use be-aram kiya
chin-ba-jabin ho bola dur ho tujh ko hai sauda diwane
chhuTne ka kyun us ke tu ne dil mein KHayal-e-KHam kiya
awwal murgh rishta bapa sa tha paband-e-tar-e-zulf
halqa-e-gesu mein la us ko aaKHir said-e-dam kiya
aarzu yak bosa ki rakhta dil mein 'jahandar' ai pyare
lal-e-lab-e-shirin se tum ne par na kabhu inam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.