mehman hai koi dam ka zamana shabab ka
mehmāñ hai koī dam kā zamāna shabāb kā
ruktā hai kārvāñ bhī kahīñ inqalāb kā
daur-e-shaguftanī hai ye maanā magar suno
merī nigāh meñ hai ubharnā habāb kā
e.ajāz-e-irtiqā kā tamāshā to dekhiye
zarra bhī ham-rikāb hai ab āftāb kā
sun kar vo mājrā-e-dil-e-zār bol uThe
ye vāqi.a nahīñ hai karishma hai ḳhvāb kā
be-kār 'qādrī' unheñ maiñ ne ḳhajil kiyā
kyā mil gayā jo kah diyā haal iztirāb kā
mehman hai koi dam ka zamana shabab ka
rukta hai karwan bhi kahin inqalab ka
daur-e-shaguftani hai ye mana magar suno
meri nigah mein hai ubharna habab ka
eajaz-e-irtiqa ka tamasha to dekhiye
zarra bhi ham-rikab hai ab aaftab ka
sun kar wo majra-e-dil-e-zar bol uThe
ye waqia nahin hai karishma hai KHwab ka
be-kar 'qadri' unhen main ne KHajil kiya
kya mil gaya jo kah diya haal iztirab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.