mehnat ki jab KHushbu Tapke parchhain muskati hai
mehnat kī jab ḳhushbū Tapke parchhā.īñ muskātī hai
thak kar un kī bāñhoñ meñ tab añgḌā.ī muskātī hai
un kī ḳhushbū pā kar dil kī añgnā.ī muskātī hai
un ko chhūne se yādoñ kī bīnā.ī muskātī hai
jin ke khulne se duniyā kā har gulshan ābād huā
un kaliyoñ kī ḳhushī sajā kar shahnā.ī muskātī hai
un kī ḳhushbū se ḳhushbū hai gulshan ke sab phūloñ meñ
un ko chhū kar aane vaalī purvā.ī muskātī hai
yādeñ ghāyal sāñseñ bojhal jiinā hai dushvār mirā
merī hālat dekh ke ab to tanhā.ī muskātī hai
mehnat ki jab KHushbu Tapke parchhain muskati hai
thak kar un ki banhon mein tab angDai muskati hai
un ki KHushbu pa kar dil ki angnai muskati hai
un ko chhune se yaadon ki binai muskati hai
jin ke khulne se duniya ka har gulshan aabaad hua
un kaliyon ki KHushi saja kar shahnai muskati hai
un ki KHushbu se KHushbu hai gulshan ke sab phulon mein
un ko chhu kar aane wali purwai muskati hai
yaaden ghayal sansen bojhal jina hai dushwar mera
meri haalat dekh ke ab to tanhai muskati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.