mehnat ki kamai pe qanaat nahin karta
mehnat kī kamā.ī pe qanā.at nahīñ kartā
bandoñ kī tarah kyā vo ibādat nahīñ kartā
chhoToñ se vo tāzīm kī ummīd na rakkhe
jo apne baḌoñ kī kabhī izzat nahīñ kartā
bachchoñ ko sunātā hai buzurgoñ kī kahānī
vo apnī rivāyat se baġhāvat nahīñ kartā
ġhurbat meñ bichhā detā hai qālīn-e-mohabbat
mehmān kī aamad pe shikāyat nahīñ kartā
buzdil bhī vo kahlāne se Dartā hai jahāñ meñ
sach bolne kī bhī kabhī jur.at nahīñ kartā
is vāste kuchh log ḳhafā rahte haiñ us se
'shabbīr' kisī raa.ī ko parbat nahīñ kartā
mehnat ki kamai pe qanaat nahin karta
bandon ki tarah kya wo ibaadat nahin karta
chhoTon se wo tazim ki ummid na rakkhe
jo apne baDon ki kabhi izzat nahin karta
bachchon ko sunata hai buzurgon ki kahani
wo apni riwayat se baghawat nahin karta
ghurbat mein bichha deta hai qalin-e-mohabbat
mehman ki aamad pe shikayat nahin karta
buzdil bhi wo kahlane se Darta hai jahan mein
sach bolne ki bhi kabhi jurat nahin karta
is waste kuchh log KHafa rahte hain us se
'shabbir' kisi rai ko parbat nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.