mehr-o-mah-o-anjum ka kuchh nishan nahin milta
mehr-o-mah-o-anjum ka kuchh nishan nahin milta
Khaleel-ur-Rahman Raaz
MORE BYKhaleel-ur-Rahman Raaz
mehr-o-māh-o-anjum kā kuchh nishāñ nahīñ miltā
uḌ rahā huuñ barsoñ se āsmāñ nahīñ miltā
raushnī kā imkāñ bhī ab yahāñ nahīñ miltā
ikkā-dukkā jugnū bhī zau-fishāñ nahīñ miltā
tan pe saaya karne ko sā.ebāñ to miltā hai
ruuh ke sulāne ko āshiyāñ nahīñ miltā
dil kī raushnī le kar dilbar-e-azal ko maiñ
DhūñDhtā huuñ muddat se aur nishāñ nahīñ miltā
mere dil kī dhaḌkan hī garche us kā maskan hai
DhūñDhtā huuñ jab dil meñ kuchh nishāñ nahīñ miltā
aarzū meñ phūloñ kī phir rahā huuñ sahrā meñ
ret ke musāfir ko gulsitāñ nahīñ miltā
chūr-chūr rahtā hai har dam aa.ina dil kā
bevafā zamāne meñ mehrbāñ nahīñ miltā
miltā-jultā rahtā hai nā-murād duniyā se
apne jāñ-nisāroñ se bad-gumāñ nahīñ miltā
us kā milnā-julnā hai ġhāyat-o-ġharaz le kar
banda-e-ġharaz hai vo rā.egāñ nahīñ miltā
bastiyoñ ke dāman meñ Dher haiñ makānoñ ke
muztarib tamannā ko lā-makāñ nahīñ miltā
bastiyoñ ke parbat haiñ qāfile haiñ logoñ ke
aadmī koī in meñ jān-e-jāñ nahīñ miltā
aadmī kī kasrat se aadmī pareshāñ hai
aadmī kā is par bhī kuchh nishāñ nahīñ miltā
jis ke paas yakjā hoñ dīn-o-dānish-o-daulat
aise mard-e-kāmil kā āstāñ nahīñ miltā
dafn ho ga.e kitne aish kī tamannā meñ
aish agar milā bhī to jāvedāñ nahīñ miltā
sach hai dasht-e-imkāñ hai ek dhuñdlā naqsh-e-pā
naqsh jis se rahrav kā kuchh nishāñ nahīñ miltā
ilm-o-fan ke parvāno ye bhī kyā qayāmat hai
'rāz' ko yahāñ koī rāz-dāñ nahīñ miltā
mehr-o-mah-o-anjum ka kuchh nishan nahin milta
uD raha hun barson se aasman nahin milta
raushni ka imkan bhi ab yahan nahin milta
ikka-dukka jugnu bhi zau-fishan nahin milta
tan pe saya karne ko saeban to milta hai
ruh ke sulane ko aashiyan nahin milta
dil ki raushni le kar dilbar-e-azal ko main
DhunDhta hun muddat se aur nishan nahin milta
mere dil ki dhaDkan hi garche us ka maskan hai
DhunDhta hun jab dil mein kuchh nishan nahin milta
aarzu mein phulon ki phir raha hun sahra mein
ret ke musafir ko gulsitan nahin milta
chur-chur rahta hai har dam aaina dil ka
bewafa zamane mein mehrban nahin milta
milta-julta rahta hai na-murad duniya se
apne jaan-nisaron se bad-guman nahin milta
us ka milna-julna hai ghayat-o-gharaz le kar
banda-e-gharaz hai wo raegan nahin milta
bastiyon ke daman mein Dher hain makanon ke
muztarib tamanna ko la-makan nahin milta
bastiyon ke parbat hain qafile hain logon ke
aadmi koi in mein jaan-e-jaan nahin milta
aadmi ki kasrat se aadmi pareshan hai
aadmi ka is par bhi kuchh nishan nahin milta
jis ke pas yakja hon din-o-danish-o-daulat
aise mard-e-kaamil ka aastan nahin milta
dafn ho gae kitne aish ki tamanna mein
aish agar mila bhi to jawedan nahin milta
sach hai dasht-e-imkan hai ek dhundla naqsh-e-pa
naqsh jis se rahraw ka kuchh nishan nahin milta
ilm-o-fan ke parwano ye bhi kya qayamat hai
'raaz' ko yahan koi raaz-dan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.