mehr-o-ulfat ka tarana ek fasana ho gaya
mehr-o-ulfat kā tarāna ik fasāna ho gayā
mahv-e-hairat huuñ ki kyā se kyā zamāna ho gayā
shoḳhiyāñ bebākiyāñ sab rafta rafta kam huiiñ
iltifāt-e-yār jab se sūqiyāna ho gayā
dhamkīyoñ ke saa.e meñ ab desh chal saktā nahīñ
daao yaaro ye siyāsat kā purānā ho gayā
gardish-e-ayyām ne chhoḌā kahāñ lā kar mujhe
jo kahānī thī mirī un kā fasāna ho gayā
vāqi.āt-e-umr-e-rafta yaad sab aane lage
zindagī se phir mirā rishta purānā ho gayā
ik sukūñ dil ko milā aur ruuh ko rāhat milī
jab ta.āruf un se merā ġhā.ebāna ho gayā
rok sakte haiñ kahāñ vo qīmateñ petrol kī
tel par dushman kā qabza ġhāsibāna ho gayā
aap ke aate hī ghar meñ raunaqeñ baḌhne lagīñ
aaj kā 'bedār' mausam bhī suhānā ho gayā
mehr-o-ulfat ka tarana ek fasana ho gaya
mahw-e-hairat hun ki kya se kya zamana ho gaya
shoKHiyan bebakiyan sab rafta rafta kam huin
iltifat-e-yar jab se suqiyana ho gaya
dhamkiyon ke sae mein ab desh chal sakta nahin
dao yaro ye siyasat ka purana ho gaya
gardish-e-ayyam ne chhoDa kahan la kar mujhe
jo kahani thi meri un ka fasana ho gaya
waqiat-e-umr-e-rafta yaad sab aane lage
zindagi se phir mera rishta purana ho gaya
ek sukun dil ko mila aur ruh ko rahat mili
jab taaruf un se mera ghaebana ho gaya
rok sakte hain kahan wo qimaten petrol ki
tel par dushman ka qabza ghasibana ho gaya
aap ke aate hi ghar mein raunaqen baDhne lagin
aaj ka 'bedar' mausam bhi suhana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.