mehrban ho ke jab milenge aap
mehrbāñ ho ke jab mileñge aap
jo na milte the sab mileñge aap
dam-e-ruḳhsat ye chheḌ to dekho
mujh se kahte haiñ kab mileñge aap
aap kyoñ ḳhaak meñ milāte haiñ
ham musībat-talab mileñge aap
kārvāñ kī talāsh kyā ai dil
aa ke manzil pe sab mileñge aap
ek to va.ada aur us pe qasam
ye yaqīñ hai ki ab mileñge aap
'dāġh' ik aadmī hai garmā-garm
ḳhush bahut hoñge jab mileñge aap
mehrban ho ke jab milenge aap
jo na milte the sab milenge aap
dam-e-ruKHsat ye chheD to dekho
mujh se kahte hain kab milenge aap
aap kyon KHak mein milate hain
hum musibat-talab milenge aap
karwan ki talash kya ai dil
aa ke manzil pe sab milenge aap
ek to wada aur us pe qasam
ye yaqin hai ki ab milenge aap
'dagh' ek aadmi hai garma-garm
KHush bahut honge jab milenge aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.