mehrban kis pe hain ab ahl-e-jafa mere baad
mehrbāñ kis pe haiñ ab ahl-e-jafā mere baa'd
kis ke ḳhirman pe girī barq-e-balā mere baa'd
ai nasīm-e-saharī ye to batā kaise haiñ
vo mire ham-nafas-o-sho.ala-navā mere baa'd
gard-e-ālām se ab kis kī jabīñ dhultī hai
kis ke ruḳh par hai masā.ib kī jilā mere baa'd
kaun ab marhala-e-dār-o-rasan tak pahuñchā
kyā hai ab sheva-e-arbāb-e-vafā mere baa'd
kis ne kī jur.at-e-rindāna-e-tajdīd-e-hayāt
kaun vaqf-e-ġham-e-ayyām huā mere baa'd
kaun hai jo pas-e-dīvār-e-qafas suntā hai
ahl-e-zindāñ jaras-e-gul kī sadā mere baa'd
bazm-e-shāhī meñ ba-sad-jāh-o-hasham kaun gayā
dosh par apne liye haq kī ridā mere baa'd
mus.haf-e-rū-e-dil-ārām-e-nigār-e-getī
kaun paḌhtā hai ba-sad sidq-o-safā mere baa'd
zahr-e-ġham hotā hai ab kis ko gavārā dekheñ
hai mukarrar lab-e-sāqī pe sadā mere baa'd
mehrban kis pe hain ab ahl-e-jafa mere ba'd
kis ke KHirman pe giri barq-e-bala mere ba'd
ai nasim-e-sahari ye to bata kaise hain
wo mere ham-nafas-o-shoala-nawa mere ba'd
gard-e-alam se ab kis ki jabin dhulti hai
kis ke ruKH par hai masaib ki jila mere ba'd
kaun ab marhala-e-dar-o-rasan tak pahuncha
kya hai ab shewa-e-arbab-e-wafa mere ba'd
kis ne ki jurat-e-rindana-e-tajdid-e-hayat
kaun waqf-e-gham-e-ayyam hua mere ba'd
kaun hai jo pas-e-diwar-e-qafas sunta hai
ahl-e-zindan jaras-e-gul ki sada mere ba'd
bazm-e-shahi mein ba-sad-jah-o-hasham kaun gaya
dosh par apne liye haq ki rida mere ba'd
mushaf-e-ru-e-dil-aram-e-nigar-e-geti
kaun paDhta hai ba-sad sidq-o-safa mere ba'd
zahr-e-gham hota hai ab kis ko gawara dekhen
hai mukarrar lab-e-saqi pe sada mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.