mehrban mujh pe dam-e-naza wo gulfam hua
mehrban mujh pe dam-e-naza wo gulfam hua
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
mehrbāñ mujh pe dam-e-naz.a vo gulfām huā
baare āġhāz se behtar mirā anjām huā
kabhī aatā nahīñ yaañ harf-e-shikāyat lab tak
kyā zabāñ par bhī musallat dil-e-nākām huā
qaid-e-hastī se rihā hūñgā na be-maut aa.e
mujh se vahshī ke liye tār-e-nafas daam huā
shāna kahtā hai mire dil se muḳhātib ho kar
jo phañsā zulf meñ vo morid-e-ālām huā
dahan-e-yār ke mazmūñ jo ġhazal meñ dekhe
log kahne lage shā.ir ko ye ilhām huā
harf-e-ruḳhsat to zabāñ par tire aaya bhī na thā
muztarib pahle hī kyoñ ye dil-e-nākām huā
apne saaqī kī shikāyat nahīñ kartā lekin
duur kaisā hai ki mamlū na mirā jaam huā
rang faq māh-e-munavvar kā huā gardūñ par
jalva-farmā vo parī-rū jo lab-e-bām huā
is zamāne meñ vo jaadū hai ḳhushāmad kā kalām
jis ne 'tālib' sunā vo banda-e-be-dām huā
mehrban mujh pe dam-e-naza wo gulfam hua
bare aaghaz se behtar mera anjam hua
kabhi aata nahin yan harf-e-shikayat lab tak
kya zaban par bhi musallat dil-e-nakaam hua
qaid-e-hasti se riha hunga na be-maut aae
mujh se wahshi ke liye tar-e-nafas dam hua
shana kahta hai mere dil se muKHatib ho kar
jo phansa zulf mein wo morid-e-alam hua
dahan-e-yar ke mazmun jo ghazal mein dekhe
log kahne lage shair ko ye ilham hua
harf-e-ruKHsat to zaban par tere aaya bhi na tha
muztarib pahle hi kyon ye dil-e-nakaam hua
apne saqi ki shikayat nahin karta lekin
dur kaisa hai ki mamlu na mera jam hua
rang faq mah-e-munawwar ka hua gardun par
jalwa-farma wo pari-ru jo lab-e-baam hua
is zamane mein wo jadu hai KHushamad ka kalam
jis ne 'talib' suna wo banda-e-be-dam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.