mehrban mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj ki raat
mehrbāñ mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj kī raat
aa mire chāñd ke TukḌe mire ghar aaj kī raat
raah bhuul aayā hai ik chāñd idhar aaj kī raat
kaisī ghar baiThī hai daulat mire ghar aaj kī raat
yaar aayā nahīñ kyuuñ kar ho basar aaj kī raat
tā-qayāmat nahīñ hone kī sahar aaj kī raat
aap se aap vo aa.e mire ghar aaj kī raat
dīn-o-duniyā kī nahīñ mujh ko ḳhabar aaj kī raat
kyuuñ ḳhafā mujh se hai vo rashk-e-qamar aaj kī raat
badlī badlī nazar aatī hai nazar aaj kī raat
ai sanam bahr-e-ḳhudā aap hī laa.eñ tashrīf
putliyoñ kā hai tamāshā mire ghar aaj kī raat
sādgī hai tirī pariyoñ kī banāvaT se sivā
sub.h ho jā.egī itnā na nikhar aaj kī raat
zulf suljhāte hue pyaar se vo dekhte haiñ
kyā maiñ ho jā.ūñgā manzūr-e-nazar aaj kī raat
merī gustāḳhī na yaad aa.e ilāhī hargiz
un ko bekal na kare fikr-e-kamar aaj kī raat
maañg motī se bharī hai na chaḌho koThe par
tum ko lag jā.egī tāroñ kī nazar aaj kī raat
lailatul-qadr hai ye yā shab-e-me.arāj hai ye
yaar ke zaanū pe apnā jo hai sar aaj kī raat
vasl ik parda-nashīñ se hai na ho ġhair kā daḳhl
sham.a tak aa.e na parvāne kā par aaj kī raat
mehmāñ aap bas itnā hī raheñ mere ghar
kal kā roz aaj kā din chaar pahar aaj kī raat
kal na dūñgā tujhe taklīf kuchh aisī vallāh
khol de band-e-qabā sharm na kar aaj kī raat
jalva kyā ḳhuub hai mahtābī kā mahtābī par
lutf-e-mai-noshī hai ai rashk-e-qamar aaj kī raat
bāġh-o-mai chāñdnī aur vasl-e-parī hai mujh ko
piite haiñ mere adū ḳhūn-e-jigar aaj kī raat
gul-badan pahne haiñ vo mahram-e-kamḳhāb nahīñ
niiñd aane kā mire dil meñ hai Dar aaj kī raat
kis zabāñ se ho bayāñ aao gale lag jaao
dil se dil hī sune kuchh dard-e-jigar aaj kī raat
baḳht-e-be-dār se vo chāñd mire haath aayā
āsmāñ tak haiñ mire dast-nigar aaj kī raat
haath se zulf vo suljhā.eñ to ho jā.ūñ nihāl
dekh luuñ naḳhl-e-tamannā ke samar aaj kī raat
āshiq-e-abrū ko kyā qatl karoge nādāñ
nannhī talvār jo hai zeb-e-kamar aaj kī raat
yaar kī zulf-e-zar-afshāñ mujhe yaad aatī hai
kyā hī siine se nikalte haiñ sharar aaj kī raat
bashkan-o-bashkan miinā kī sadā ko sun kar
aane paa.e na kahīñ miim basar aaj kī raat
gore gāloñ se na sarkāo siyah-zulfoñ ko
ḳhauf hai mujh ko na ho jaa.e sahar aaj kī raat
āshiq-e-zulf ko do bosa-o-ḳhatt-o-abrū
mus.haf-e-ruḳh pe likhūñ zer-o-zabar aaj kī raat
raqs is zohra-jabīñ kā hai adū ke ghar meñ
mehr mīzāñ meñ hai aqrab meñ qamar aaj kī raat
haath vo joḌte haiñ sar hai mirā qadmoñ par
ho na samjhāne manāne meñ sahar aaj kī raat
ḳhufta-baḳhtī se ilāhī ye kahīñ so jaa.eñ
topchī zāhid-o-murġhān-e-sahar aaj kī raat
gul-e-shabbū hai lajā lo gul-e-sūdī hai gulāb
sharm-o-ġhussa hai araq meñ vo haiñ tar aaj kī raat
āsmāñ par hai dimāġh ab nahīñ milne ke 'nasīm'
mehrbāñ un pe hai ik rashk-e-qamar aaj kī raat
mehrban mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj ki raat
aa mere chand ke TukDe mere ghar aaj ki raat
rah bhul aaya hai ek chand idhar aaj ki raat
kaisi ghar baiThi hai daulat mere ghar aaj ki raat
yar aaya nahin kyun kar ho basar aaj ki raat
ta-qayamat nahin hone ki sahar aaj ki raat
aap se aap wo aae mere ghar aaj ki raat
din-o-duniya ki nahin mujh ko KHabar aaj ki raat
kyun KHafa mujh se hai wo rashk-e-qamar aaj ki raat
badli badli nazar aati hai nazar aaj ki raat
ai sanam bahr-e-KHuda aap hi laen tashrif
putliyon ka hai tamasha mere ghar aaj ki raat
sadgi hai teri pariyon ki banawaT se siwa
subh ho jaegi itna na nikhar aaj ki raat
zulf suljhate hue pyar se wo dekhte hain
kya main ho jaunga manzur-e-nazar aaj ki raat
meri gustaKHi na yaad aae ilahi hargiz
un ko bekal na kare fikr-e-kamar aaj ki raat
mang moti se bhari hai na chaDho koThe par
tum ko lag jaegi taron ki nazar aaj ki raat
lailatul-qadr hai ye ya shab-e-mearaj hai ye
yar ke zanu pe apna jo hai sar aaj ki raat
wasl ek parda-nashin se hai na ho ghair ka daKHl
shama tak aae na parwane ka par aaj ki raat
mehman aap bas itna hi rahen mere ghar
kal ka roz aaj ka din chaar pahar aaj ki raat
kal na dunga tujhe taklif kuchh aisi wallah
khol de band-e-qaba sharm na kar aaj ki raat
jalwa kya KHub hai mahtabi ka mahtabi par
lutf-e-mai-noshi hai ai rashk-e-qamar aaj ki raat
bagh-o-mai chandni aur wasl-e-pari hai mujh ko
pite hain mere adu KHun-e-jigar aaj ki raat
gul-badan pahne hain wo mahram-e-kamKHab nahin
nind aane ka mere dil mein hai Dar aaj ki raat
kis zaban se ho bayan aao gale lag jao
dil se dil hi sune kuchh dard-e-jigar aaj ki raat
baKHt-e-be-dar se wo chand mere hath aaya
aasman tak hain mere dast-nigar aaj ki raat
hath se zulf wo suljhaen to ho jaun nihaal
dekh lun naKHl-e-tamanna ke samar aaj ki raat
aashiq-e-abru ko kya qatl karoge nadan
nannhi talwar jo hai zeb-e-kamar aaj ki raat
yar ki zulf-e-zar-afshan mujhe yaad aati hai
kya hi sine se nikalte hain sharar aaj ki raat
bashkan-o-bashkan mina ki sada ko sun kar
aane pae na kahin mim basar aaj ki raat
gore galon se na sarkao siyah-zulfon ko
KHauf hai mujh ko na ho jae sahar aaj ki raat
aashiq-e-zulf ko do bosa-o-KHatt-o-abru
mushaf-e-ruKH pe likhun zer-o-zabar aaj ki raat
raqs is zohra-jabin ka hai adu ke ghar mein
mehr mizan mein hai aqrab mein qamar aaj ki raat
hath wo joDte hain sar hai mera qadmon par
ho na samjhane manane mein sahar aaj ki raat
KHufta-baKHti se ilahi ye kahin so jaen
topchi zahid-o-murghan-e-sahar aaj ki raat
gul-e-shabbu hai laja lo gul-e-sudi hai gulab
sharm-o-ghussa hai araq mein wo hain tar aaj ki raat
aasman par hai dimagh ab nahin milne ke 'nasim'
mehrban un pe hai ek rashk-e-qamar aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.