mehrban mujh pe koi naz ka pala hota
mehrbāñ mujh pe koī naaz kā paalā hotā
merā pahlū bhī kisī chāñd kā haalā hotā
phir dikhātā tire jalvoñ kā fusūñ gar tujh ko
merī āñkhoñ se koī dekhne vaalā hotā
gar muyassar na thī duniyā meñ masarrat tujh ko
ziist ko dard ke sāñche hī meñ Dhālā hotā
ranj-o-ġham ek haiñ is kār-gah-e-hastī ke
dil kī āñkhoñ se magar dekhne vaalā hotā
chun liyā mujh ko ki manshā-e-mashiyyat thā yahī
husn kā tere koī chāhne vaalā hotā
harf aa kar hī rahā tere karam par saaqī
girne vaale ko kisī ne to sañbhālā hotā
rāz-e-dil kah ke unheñ kar diyā ḳhud-bīñ 'sāhir'
yuuñ mohabbat ko musībat meñ na Daalā hotā
mehrban mujh pe koi naz ka pala hota
mera pahlu bhi kisi chand ka haala hota
phir dikhata tere jalwon ka fusun gar tujh ko
meri aankhon se koi dekhne wala hota
gar muyassar na thi duniya mein masarrat tujh ko
zist ko dard ke sanche hi mein Dhaala hota
ranj-o-gham ek hain is kar-gah-e-hasti ke
dil ki aankhon se magar dekhne wala hota
chun liya mujh ko ki mansha-e-mashiyyat tha yahi
husn ka tere koi chahne wala hota
harf aa kar hi raha tere karam par saqi
girne wale ko kisi ne to sanbhaala hota
raaz-e-dil kah ke unhen kar diya KHud-bin 'sahir'
yun mohabbat ko musibat mein na Dala hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.