mehrbani bhi hai itab bhi hai
mehrbānī bhī hai itaab bhī hai
kuchh tasallī kuchh iztirāb bhī hai
hai to aġhyār se ḳhitāb magar
merī har baat kā javāb bhī hai
vaañ barābar hai ḳhalvat-o-jalvat
us kī be-pardagī hijāb bhī hai
ho qanā.at to hai jahāñ dariyā
hirs ġhālib ho to sarāb bhī hai
vo tabaḳhtur kahāñ tapāk kahāñ
garm-o-raushan to āftāb bhī hai
mehrbani bhi hai itab bhi hai
kuchh tasalli kuchh iztirab bhi hai
hai to aghyar se KHitab magar
meri har baat ka jawab bhi hai
wan barabar hai KHalwat-o-jalwat
us ki be-pardagi hijab bhi hai
ho qanaat to hai jahan dariya
hirs ghaalib ho to sarab bhi hai
wo tabaKHtur kahan tapak kahan
garm-o-raushan to aaftab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.