mein kya hun kaun hun ye batane se main raha
meñ kyā huuñ kaun huuñ ye batāne se maiñ rahā
ab ḳhud ko ḳhud se ḳhud ko milāne se maiñ rahā
maiñ laḌ paḌā huuñ aaj ḳhud apne ḳhilāf hī
ab darmiyāñ se ḳhud ko haTāne se maiñ rahā
hai zindagī asīr-e-adam jāntā huuñ maiñ
duniyā tire fareb meñ aane se maiñ rahā
mujh meñ kahāñ hai tujh se judā.ī kā hausla
ai merī jaan tujh ko gañvāne se maiñ rahā
vahshat bhī apnī itnī ta.aqqul pasand hai
dasht-e-junūñ meñ ḳhaak uḌāne se maiñ rahā
haañ vaz-e-ehtiyāt kā qaa.il nahīñ huuñ meñ
jo zaḳhm hai jigar meñ chhupāne se maiñ rahā
vo log merā nām-o-nasab pūchhte haiñ ab
jin kī nazar meñ ek zamāne se maiñ rahā
kuchh yaar mere itne satā.ish pasand haiñ
'shāhid' ab un ko sher sunāne se maiñ rahā
mein kya hun kaun hun ye batane se main raha
ab KHud ko KHud se KHud ko milane se main raha
main laD paDa hun aaj KHud apne KHilaf hi
ab darmiyan se KHud ko haTane se main raha
hai zindagi asir-e-adam jaanta hun main
duniya tere fareb mein aane se main raha
mujh mein kahan hai tujh se judai ka hausla
ai meri jaan tujh ko ganwane se main raha
wahshat bhi apni itni taqqul pasand hai
dasht-e-junun mein KHak uDane se main raha
han waz-e-ehtiyat ka qail nahin hun mein
jo zaKHm hai jigar mein chhupane se main raha
wo log mera nam-o-nasab puchhte hain ab
jin ki nazar mein ek zamane se main raha
kuchh yar mere itne sataish pasand hain
'shahid' ab un ko sher sunane se main raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.