mein peT se apne KHud hi kapDa uTha raha hun bata raha hun
mein peT se apne KHud hi kapDa uTha raha hun bata raha hun
Ali Raza Razi
MORE BYAli Raza Razi
meñ peT se apne ḳhud hī kapḌā uThā rahā huuñ batā rahā huuñ
maiñ apne bachchoñ ko aaj bhūkā sulā rahā huuñ batā rahā huuñ
bisāt se baḌh ke ḳharch ḳhud ko kiyā hai maiñ ne mirī ḳhatā hai
aur ab maiñ chādar se paañv apne chhupā rahā huuñ batā rahā huuñ
anā ko apnī maiñ apne hāthoñ se haar dūñgā yā maar dūñgā
ġhurūr ko apne ḳhaak meñ bhī milā rahā huuñ batā rahā huuñ
maiñ zabt kī āḳhirī hadoñ ko na jā sakūñgā maiñ ro paḌūñgā
maiñ baat karte hue tabhī kapkapā rahā huuñ batā rahā huuñ
ye ḳhush-libāsī ye rakh-rakhāv sivā dikhāve ke kuchh nahīñ hai
maiñ ek Topī hī sab ke sar pe ghumā rahā huuñ batā rahā huuñ
maiñ zulmat-e-shab.... kā shikva hargiz nahīñ karūñgā DaTā rahūñgā
maiñ apne hisse kī sham.a yaaro jalā rahā huuñ batā rahā huuñ
maiñ jāntā huuñ javāb terā nahīñ meñ hogā ajiib kyā hai
savāl karte hue tabhī hichkichā rahā huuñ batā rahā huuñ
mujhe to sab kuchh hī yaad hai maiñ sahar kā bhūlā nahīñ huuñ yaaro
maiñ shaam Dhalne se pahle hī ghar ko jā rahā huuñ batā rahā huuñ
le merī jānib se aaj badle kī intihā sun mirā elaañ sun
maiñ apnī nazroñ se aaj tujh ko girā rahā huuñ batā rahā huuñ
vajūd merā hai ḳhaak aur is ne ḳhaak meñ hī hai ḳhaak honā
maiñ ḳhaak ko āsmāñ kī jānib uḌā rahā huuñ batā rahā huuñ
ye sher to mujh se baiThe baiThe yūñhī hue haiñ kahe nahīñ haiñ
'razī' maiñ misre ke saath misra.a lagā rahā huuñ batā rahā huuñ
mein peT se apne KHud hi kapDa uTha raha hun bata raha hun
main apne bachchon ko aaj bhuka sula raha hun bata raha hun
bisat se baDh ke KHarch KHud ko kiya hai main ne meri KHata hai
aur ab main chadar se panw apne chhupa raha hun bata raha hun
ana ko apni main apne hathon se haar dunga ya mar dunga
ghurur ko apne KHak mein bhi mila raha hun bata raha hun
main zabt ki aaKHiri hadon ko na ja sakunga main ro paDunga
main baat karte hue tabhi kapkapa raha hun bata raha hun
ye KHush-libasi ye rakh-rakhaw siwa dikhawe ke kuchh nahin hai
main ek Topi hi sab ke sar pe ghuma raha hun bata raha hun
main zulmat-e-shab ka shikwa hargiz nahin karunga DaTa rahunga
main apne hisse ki shama yaro jala raha hun bata raha hun
main jaanta hun jawab tera nahin mein hoga ajib kya hai
sawal karte hue tabhi hichkicha raha hun bata raha hun
mujhe to sab kuchh hi yaad hai main sahar ka bhula nahin hun yaro
main sham Dhalne se pahle hi ghar ko ja raha hun bata raha hun
le meri jaanib se aaj badle ki intiha sun mera elan sun
main apni nazron se aaj tujh ko gira raha hun bata raha hun
wajud mera hai KHak aur is ne KHak mein hi hai KHak hona
main KHak ko aasman ki jaanib uDa raha hun bata raha hun
ye sher to mujh se baiThe baiThe yunhi hue hain kahe nahin hain
'razi' main misre ke sath misra laga raha hun bata raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.