mera asbab-e-safar dhup hua karti thi
merā asbāb-e-safar dhuup huā kartī thī
maiñ jidhar jā.ūñ udhar dhuup huā kartī thī
us mahalle meñ bhaTaktā thā mire man kā safīr
jis meñ uḌtī sī ḳhabar dhuup huā kartī thī
chhāñv ke ba.ad kī ḳhvāhish bhī huā kartī thī chhāñv
dhuup ke ba.ad kā Dar dhuup huā kartī thī
kyā hue ab vo mohabbat kī shurūāt ke roz
jab yahāñ āTh-pahar dhuup huā kartī thī
ab tire ruup kī kirnoñ se hai raushan ye hayāt
tujh se pahle bhī magar dhuup huā kartī thī
chhāñv meñ aa.uuñ to sab log chale aate the
merī tanhā.ī kā ghar dhuup huā kartī thī
mera asbab-e-safar dhup hua karti thi
main jidhar jaun udhar dhup hua karti thi
us mahalle mein bhaTakta tha mere man ka safir
jis mein uDti si KHabar dhup hua karti thi
chhanw ke baad ki KHwahish bhi hua karti thi chhanw
dhup ke baad ka Dar dhup hua karti thi
kya hue ab wo mohabbat ki shuruat ke roz
jab yahan aaTh-pahar dhup hua karti thi
ab tere rup ki kirnon se hai raushan ye hayat
tujh se pahle bhi magar dhup hua karti thi
chhanw mein aaun to sab log chale aate the
meri tanhai ka ghar dhup hua karti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.