mera bhi kuchh nahin hai to tera bhi kuchh nahin
mera bhi kuchh nahin hai to tera bhi kuchh nahin
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
merā bhī kuchh nahīñ hai to terā bhī kuchh nahīñ
sab kuchh to hai ḳhudā kā kisī kā bhī kuchh nahīñ
kaise huā nasha use kaise huā mujhe
ik dūsre ko ham ne pilāyā bhī kuchh nahīñ
is tarah ham ne khelā ġham-e-zindagī kā khel
jiitā bhī kuchh nahīñ hai to haarā bhī kuchh nahīñ
saaqī se pūchhā us ne ki aa.e ho kis liye
bolā bhī kuchh nahīñ to chhupāyā bhī kuchh nahīñ
mera bhi kuchh nahin hai to tera bhi kuchh nahin
sab kuchh to hai KHuda ka kisi ka bhi kuchh nahin
kaise hua nasha use kaise hua mujhe
ek dusre ko hum ne pilaya bhi kuchh nahin
is tarah hum ne khela gham-e-zindagi ka khel
jita bhi kuchh nahin hai to haara bhi kuchh nahin
saqi se puchha us ne ki aae ho kis liye
bola bhi kuchh nahin to chhupaya bhi kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.