mera dard aur baDha gai mere aql-o-hosh pe chha gai
merā dard aur baḌhā ga.ī mere aql-o-hosh pe chhā ga.ī
mujhe bāvlā sā banā ga.ī tirī shab jab kabhī aa ga.ī
ye jo mere dil ke qarīb hai vo habīb hai ki raqīb hai
ye zamāne bhar se ajiib hai mire zehn meñ jo samā ga.ī
na vo jazb-e-ishq-e-darūñ rahā na vo aql-e-sāz-e-junūñ rahā
na vo be-ḳhudī kā fusūñ rahā ye ḳhudī kī baat jo aa ga.ī
na vo soz hai na gudāz hai na vo naaz hai na niyāz hai
shah-e-ġhaznavī na ayaaz hai ye jahāñ se rasm-e-vafā ga.ī
ye shu.ūr 'najmī' ye fikr-o-fan tirī shā.irī kā ye bāñkpan
ye tasavvurāt kī anjuman na.ī kā.enāt basā ga.ī
mera dard aur baDha gai mere aql-o-hosh pe chha gai
mujhe bawla sa bana gai teri shab jab kabhi aa gai
ye jo mere dil ke qarib hai wo habib hai ki raqib hai
ye zamane bhar se ajib hai mere zehn mein jo sama gai
na wo jazb-e-ishq-e-darun raha na wo aql-e-saz-e-junun raha
na wo be-KHudi ka fusun raha ye KHudi ki baat jo aa gai
na wo soz hai na gudaz hai na wo naz hai na niyaz hai
shah-e-ghaznawi na ayaz hai ye jahan se rasm-e-wafa gai
ye shuur 'najmi' ye fikr-o-fan teri shairi ka ye bankpan
ye tasawwuraat ki anjuman nai kaenat basa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.