mera dast-e-arzu phaila hua
merā dast-e-ārzū phailā huā
aur us ne haath hai khīñchā huā
dasht meñ mujh ko sadā detā hai kaun
kaun aayā hai yahāñ bhaTkā huā
itnā dauḌā huuñ sarāboñ kī taraf
bahte dariyāoñ pe bhī dhokā huā
kyā amaañ māñgūñ maiñ us se jaan kī
jāñkanī meñ hai jo ḳhud uljhā huā
jis taraf dekho jazīre ban ga.e
kyā samundar bhī hai ab simTā huā
qais kī mīrās mere paas hai
nāqa-e-lailā ko DhūñDo kyā huā
kuchh na thā bas jiddat-e-alfāz thī
us kā har mazmūn be-ma.anī huā
maiñ ne saarī raat kī jis kī talāsh
sub.h vo sūraj milā Duubā huā
ahd thā merā to patthar kī lakīr
kachchā dhāgā us kā har va.adā huā
mera dast-e-arzu phaila hua
aur us ne hath hai khincha hua
dasht mein mujh ko sada deta hai kaun
kaun aaya hai yahan bhaTka hua
itna dauDa hun sarabon ki taraf
bahte dariyaon pe bhi dhoka hua
kya aman mangun main us se jaan ki
jaankani mein hai jo KHud uljha hua
jis taraf dekho jazire ban gae
kya samundar bhi hai ab simTa hua
qais ki miras mere pas hai
naqa-e-laila ko DhunDo kya hua
kuchh na tha bas jiddat-e-alfaz thi
us ka har mazmun be-mani hua
main ne sari raat ki jis ki talash
subh wo suraj mila Duba hua
ahd tha mera to patthar ki lakir
kachcha dhaga us ka har wada hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.