merā dukh bhī kabhī sunegā kyā
baat mujh se bhī vo karegā kyā
aaj kā din mujhe qayāmat hai
aur ye din kabhī Dhalegā kyā
ho chukā huuñ maiñ jal ke raakh yahāñ
raakh kā Dher phir jalegā kyā
ab bhī uñglī pakaḌ ke vo merī
sochtā rahtā huuñ chalegā kyā
sāmne mere kal jo baiThā thā
vo dobāra kabhī milegā kyā
muddatoñ se hai qaid pinjre meñ
ab uḌā duuñ to vo uḌegā kyā
is taraf 'soz' hai mirā sab kuchh
us taraf dil mirā lagegā kyā
mera dukh bhi kabhi sunega kya
baat mujh se bhi wo karega kya
aaj ka din mujhe qayamat hai
aur ye din kabhi Dhalega kya
ho chuka hun main jal ke rakh yahan
rakh ka Dher phir jalega kya
ab bhi ungli pakaD ke wo meri
sochta rahta hun chalega kya
samne mere kal jo baiTha tha
wo dobara kabhi milega kya
muddaton se hai qaid pinjre mein
ab uDa dun to wo uDega kya
is taraf 'soz' hai mera sab kuchh
us taraf dil mera lagega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.