mera gham mere KHayalat hi sab kuchh to nahin
mera gham mere KHayalat hi sab kuchh to nahin
Uma Shankar Shadan Gwaliori
MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori
merā ġham mere ḳhayālāt hī sab kuchh to nahīñ
un kī mahfil meñ mirī baat hī sab kuchh to nahīñ
umr ik shab kī nahīñ phir bhī mujhe hijr kī raat
ye gumāñ hotā hai ye raat hī sab kuchh to nahīñ
hoñ na bande to ḳhudā.ī kī haqīqat kyā hai
ham bhī ik shai haiñ tirī zaat hī sab kuchh to nahīñ
merī mushkil mirī duurī kā bhī ehsās huzūr
aap kī bazm ke auqāt hī sab kuchh to nahīñ
batn-e-fardā meñ bhī ta.amīr ke imkāñ haiñ bahut
aaj kī sūrat-e-hālāt hī sab kuchh to nahīñ
liije ab apne garebāñ kī ḳhabar bhī 'shādāñ'
un ke dāman kī mudārāt hī sab kuchh to nahīñ
mera gham mere KHayalat hi sab kuchh to nahin
un ki mahfil mein meri baat hi sab kuchh to nahin
umr ek shab ki nahin phir bhi mujhe hijr ki raat
ye guman hota hai ye raat hi sab kuchh to nahin
hon na bande to KHudai ki haqiqat kya hai
hum bhi ek shai hain teri zat hi sab kuchh to nahin
meri mushkil meri duri ka bhi ehsas huzur
aap ki bazm ke auqat hi sab kuchh to nahin
batn-e-farda mein bhi tamir ke imkan hain bahut
aaj ki surat-e-haalat hi sab kuchh to nahin
lije ab apne gareban ki KHabar bhi 'shadan'
un ke daman ki mudaraat hi sab kuchh to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.