mera gham sari kaenat ka gham
merā ġham saarī kā.enāt kā ġham
maiñ nahīñ jāntā najāt kā ġham
jin kī ḳhātir ye umr guzrī hai
un ko hotā hai baat baat kā ġham
maiñ to haarā huuñ jiit kar tum ko
kyā miTegā kabhī ye maat kā ġham
ab to huuñ maiñ machine kā purza
hai kahāñ mujh ko apnī zaat kā ġham
ḳhvāhishoñ ke ġhulām haiñ ham sab
phir bhī ham ko hai ḳhvāhishāt kā ġham
mera gham sari kaenat ka gham
main nahin jaanta najat ka gham
jin ki KHatir ye umr guzri hai
un ko hota hai baat baat ka gham
main to haara hun jit kar tum ko
kya miTega kabhi ye mat ka gham
ab to hun main machine ka purza
hai kahan mujh ko apni zat ka gham
KHwahishon ke ghulam hain hum sab
phir bhi hum ko hai KHwahishat ka gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.