mera har zaKHm hai daya ka wajud
merā har zaḳhm hai dayā kā vajūd
kāTtā hai mujhe havā kā vajūd
mere hālāt mas.ala nahīñ haiñ
mas.ala hai mirī anā kā vajūd
maañ kā honā to aisī ne.amat hai
jaise duniyā meñ hai duā kā vajūd
tujh se bichhḌā to maiñ simaTtā gayā
aur khultā rahā ḳhudā kā vajūd
māntā huuñ maiñ zindagī ko bhī
haañ magar jaise badduā kā vajūd
mera har zaKHm hai daya ka wajud
kaTta hai mujhe hawa ka wajud
mere haalat masala nahin hain
masala hai meri ana ka wajud
man ka hona to aisi neamat hai
jaise duniya mein hai dua ka wajud
tujh se bichhDa to main simaTta gaya
aur khulta raha KHuda ka wajud
manta hun main zindagi ko bhi
han magar jaise baddua ka wajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.