mera hausla dekh kya chahta hun
merā hausla dekh kyā chāhtā huuñ
maiñ qatra se dariyā huā chāhtā huuñ
ġharīboñ ke dukh kī davā chāhtā huuñ
aur un ke diloñ kī duā chāhtā huuñ
maiñ ab ziist meñ kuchh nayā chāhtā huuñ
ki kamre meñ taaza huā chāhtā huuñ
maiñ ashkoñ se apne gunāhoñ ko dho kar
tire dar pe hāzir huā chāhtā huuñ
mere haal par rahm kar ai masīhā
huuñ bīmār-e-ulfat shifā chāhtā huuñ
ta.assub se ho paak har shaḳhs 'armān'
merī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ
mera hausla dekh kya chahta hun
main qatra se dariya hua chahta hun
gharibon ke dukh ki dawa chahta hun
aur un ke dilon ki dua chahta hun
main ab zist mein kuchh naya chahta hun
ki kamre mein taza hua chahta hun
main ashkon se apne gunahon ko dho kar
tere dar pe hazir hua chahta hun
mere haal par rahm kar ai masiha
hun bimar-e-ulfat shifa chahta hun
tassub se ho pak har shaKHs 'arman'
meri sadgi dekh kya chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.