mera hi aks aaine mein dikha nahin tha
merā hī aks ā.īne meñ dikhā nahīñ thā
ab kuchh bhī ya.anī pahle jaisā rahā nahīñ thā
chhūTe bhī haath to ik chhoTe se mas.ale par
jab maiñ ne kuchh kahā to us ne sunā nahīñ thā
vaqt-e-judā.ī thā bas ye itmīnān mujh ko
achchhā huā jo koī va.ada kyā nahīñ thā
kaise uThā.e haath ab apne duā meñ 'tānī'
sajda qubūl pahle kā jab huā nahīñ thā
mera hi aks aaine mein dikha nahin tha
ab kuchh bhi yani pahle jaisa raha nahin tha
chhuTe bhi hath to ek chhoTe se masale par
jab main ne kuchh kaha to us ne suna nahin tha
waqt-e-judai tha bas ye itminan mujh ko
achchha hua jo koi wada kya nahin tha
kaise uThae hath ab apne dua mein 'tani'
sajda qubul pahle ka jab hua nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.