mera hissa tha mere dil ka makin tha pahle
merā hissa thā mire dil kā makīñ thā pahle
ye jo ik zaḳhm hai ye zaḳhm nahīñ thā pahle
tere kahne pe ḳhudā maan liyā thā tujh ko
terī bātoñ pe mujhe itnā yaqīñ thā pahle
pā-ba-zanjīr karo sang na maaro is ko
ye jo pāgal hai yahīñ taḳht-nashīñ thā pahle
merī ġhazloñ meñ masā.il the zamāne bhar ke
merī ġhazloñ meñ koī dard nahīñ thā pahle
jān-e-jāñ Thiik nahīñ husn pe ab itnā ġhurūr
mujh sivā kaun tire itnā qarīñ thā pahle
merā mātam jo mire dil meñ kiyā kartā thā
dil ke zaḳhmoñ kā 'azādār yahīñ thā pahle
mera hissa tha mere dil ka makin tha pahle
ye jo ek zaKHm hai ye zaKHm nahin tha pahle
tere kahne pe KHuda man liya tha tujh ko
teri baaton pe mujhe itna yaqin tha pahle
pa-ba-zanjir karo sang na maro is ko
ye jo pagal hai yahin taKHt-nashin tha pahle
meri ghazlon mein masail the zamane bhar ke
meri ghazlon mein koi dard nahin tha pahle
jaan-e-jaan Thik nahin husn pe ab itna ghurur
mujh siwa kaun tere itna qarin tha pahle
mera matam jo mere dil mein kiya karta tha
dil ke zaKHmon ka 'azadar yahin tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.