mera ho kar bhi mujhse barham hai
merā ho kar bhī mujh se barham hai
dil kā aalam ajiib aalam hai
aap ne zulm atā kiye mujh ko
aap kā ye karam bhī kyā kam hai
dil pe jis din se sāya-e-ġham hai
dhaḌkanoñ kī sadā bhī maddham hai
jin meñ aañsū kabhī na aa.e the
aaj vo aañkh bhī to pur-nam hai
har taraf hai ġhamoñ kā sannāTā
har taraf zindagī kā mātam hai
zindagī kī masarrateñ qurbāñ
kitnā pur-lutf dard-e-paiham hai
terā 'rāhī' hai muntazir aa jā
kis qadar ḳhush-gavār mausam hai
mera ho kar bhi mujh se barham hai
dil ka aalam ajib aalam hai
aap ne zulm ata kiye mujh ko
aap ka ye karam bhi kya kam hai
dil pe jis din se saya-e-gham hai
dhaDkanon ki sada bhi maddham hai
jin mein aansu kabhi na aae the
aaj wo aankh bhi to pur-nam hai
har taraf hai ghamon ka sannaTa
har taraf zindagi ka matam hai
zindagi ki masarraten qurban
kitna pur-lutf dard-e-paiham hai
tera 'rahi' hai muntazir aa ja
kis qadar KHush-gawar mausam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.