mera ho ke bhi mujhe ghair batane wale
merā ho ke bhī mujhe ġhair batāne vaale
aa kabhī dekh mujhe chhoḌ ke jaane vaale
is na.e saal meñ kuchh bhī to nahīñ badlā hai
terā kahte haiñ mujhe ab bhī zamāne vaale
terā aur merā ye qissa bhī ajab qissa hai
rone lagte haiñ use sunñe sunāne vaale
maiñ na pāgal huuñ na bahsī huuñ na hī matvālā
phir bhī man bhar ke satāte haiñ satāne vaale
chand logoñ ne mohabbat kā uḌāyā thā mazāq
ab mohabbat hī bachī hai na nibhāne vaale
jaane vāloñ kā bharosa to nahīñ hai 'ābid'
lauT aate haiñ magar lauT ke aane vaale
mera ho ke bhi mujhe ghair batane wale
aa kabhi dekh mujhe chhoD ke jaane wale
is nae sal mein kuchh bhi to nahin badla hai
tera kahte hain mujhe ab bhi zamane wale
tera aur mera ye qissa bhi ajab qissa hai
rone lagte hain use sunne sunane wale
main na pagal hun na bahsi hun na hi matwala
phir bhi man bhar ke satate hain satane wale
chand logon ne mohabbat ka uDaya tha mazaq
ab mohabbat hi bachi hai na nibhane wale
jaane walon ka bharosa to nahin hai 'abid'
lauT aate hain magar lauT ke aane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.