mera ilzam puchh sakta hun
merā ilzām pūchh saktā huuñ
kyā sar-e-ām pūchh saktā huuñ
dhuup ke jism par koī saaya
maiñ tirā kaam pūchh saktā huuñ
be-zabānī meñ ho zabāñ rakhte
aur iqdām pūchh saktā huuñ
aap se dostī kī ḳhvāhish hai
aap kā naam pūchh saktā huuñ
hākim-e-vaqt kyā farāġhat meñ
apnā anjām pūchh saktā huuñ
merī tāzīm gar zarūrī hai
raa.e dushnām pūchh saktā huuñ
tū ne 'ābid' se dostī kar lī
dīn-e-islām pūchh saktā huuñ
mera ilzam puchh sakta hun
kya sar-e-am puchh sakta hun
dhup ke jism par koi saya
main tera kaam puchh sakta hun
be-zabani mein ho zaban rakhte
aur iqdam puchh sakta hun
aap se dosti ki KHwahish hai
aap ka nam puchh sakta hun
hakim-e-waqt kya faraghat mein
apna anjam puchh sakta hun
meri tazim gar zaruri hai
rae dushnam puchh sakta hun
tu ne 'abid' se dosti kar li
din-e-islam puchh sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.