mera jo kuchh bayan hai pyare
merā jo kuchh bayān hai pyāre
dukh-bharī dāstān hai pyāre
misl-e-tasvīr terī ḳhāmoshī
tū bhī kyā be-zabān hai pyāre
Thokaroñ se miTā na turbat ko
ye hamārā nishān hai pyāre
maiñ to terī adā kā banda huuñ
mujh se kyoñ bad-gumān hai pyāre
shauq se aa ġharīb-ḳhāne par
vo to terā makān hai pyāre
tū na ro mushkilāt-e-'shabbar’ par
us kā ye imtihān hai pyāre
mera jo kuchh bayan hai pyare
dukh-bhari dastan hai pyare
misl-e-taswir teri KHamoshi
tu bhi kya be-zaban hai pyare
Thokaron se miTa na turbat ko
ye hamara nishan hai pyare
main to teri ada ka banda hun
mujh se kyon bad-guman hai pyare
shauq se aa gharib-KHane par
wo to tera makan hai pyare
tu na ro mushkilat-e-'shabbar’ par
us ka ye imtihan hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.