mera KHamosh rahna bhi haqiqat mein fughan hoga
mera KHamosh rahna bhi haqiqat mein fughan hoga
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
merā ḳhāmosh rahnā bhī haqīqat meñ fuġhāñ hogā
fasāna dard-e-dil kā ashk ban ban kar ayaañ hogā
haram se vāsta kyā dair se ham ko ġharaz kyā hai
jahāñ ham sar jhukā.eñge tumhārā āstāñ hogā
ḳhabar kyā thī mohabbat meñ na chain aa.egā dam-bhar bhī
zamīñ se āsmāñ tak āsmāñ hī āsmāñ hogā
kahāñ tak barq aur gulchīñ ujāḌeñge jalā.eñge
chaman kī Daalī Daalī par hamārā āshiyāñ hogā
mohabbat meñ hameñ ai 'dard' rāhat mil nahīñ saktī
agar vo mehrbāñ hogā to dil nā-mehrbāñ hogā
mera KHamosh rahna bhi haqiqat mein fughan hoga
fasana dard-e-dil ka ashk ban ban kar ayan hoga
haram se wasta kya dair se hum ko gharaz kya hai
jahan hum sar jhukaenge tumhaara aastan hoga
KHabar kya thi mohabbat mein na chain aaega dam-bhar bhi
zamin se aasman tak aasman hi aasman hoga
kahan tak barq aur gulchin ujaDenge jalaenge
chaman ki Dali Dali par hamara aashiyan hoga
mohabbat mein hamein ai 'dard' rahat mil nahin sakti
agar wo mehrban hoga to dil na-mehrban hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.