mera KHud se milne ko ji chahta hai
merā ḳhud se milne ko jī chāhtā hai
bahut apne baare meñ maiñ ne sunā hai
sukūñ se koī ghar meñ baiThā huā hai
koī ḳhvāb meñ dauḌtā bhāgtā hai
adab meñ bahut kuchh purānā hai lekin
hameñ dekhnā hai ki kyā kuchh nayā hai
jahāñ āñdhiyoñ ne jamā.e the Dere
abhī tak vahāñ ek raushan diyā hai
koī so rahā hai ujāle meñ din ke
koī raat ke ḳhauf se jāgtā hai
mujhe haal dil kā sunānā hai jis ko
use mere baare meñ sab kuchh pata hai
ajab shor mahshar bapā hai yaqīnan
kisī shāḳh se koī pattā girā hai
mera KHud se milne ko ji chahta hai
bahut apne bare mein main ne suna hai
sukun se koi ghar mein baiTha hua hai
koi KHwab mein dauDta bhagta hai
adab mein bahut kuchh purana hai lekin
hamein dekhna hai ki kya kuchh naya hai
jahan aandhiyon ne jamae the Dere
abhi tak wahan ek raushan diya hai
koi so raha hai ujale mein din ke
koi raat ke KHauf se jagta hai
mujhe haal dil ka sunana hai jis ko
use mere bare mein sab kuchh pata hai
ajab shor mahshar bapa hai yaqinan
kisi shaKH se koi patta gira hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.