mera KHuda ho mujh mui nashad ki taraf
merā ḳhudā ho mujh muī nāshād kī taraf
ammāñ bhī boltī haiñ to dāmād kī taraf
aulād bhūkoñ martī hai ghar meñ safā.ī hai
jhāḌū-phirā chalā gayā baġhdād kī taraf
jannat kī aarzū thī vo duniyā se uTh ga.ī
ab jā ke kyā karūñ mue shaddād kī taraf
kyā jaane kis ne Daal diyā us ke dil meñ bal
muḌ kar bhī dekhtā nahīñ aulād kī taraf
munsif nigoḌā dekh ke ranDī phisal paḌā
bhaḌve ko kyā ḳhayāl ho rūdād kī taraf
ghuTnā jhukā to apnī hī jānib jhukā bahan
samdhan bhī bolne lagīñ dāmād kī taraf
is maut se kisī ko nahīñ ai bahan najāt
laa.ī hai gher gher ke jallād kī taraf
muñh par to do hī āñkheñ haiñ pahlū tire hazār
ab tujh ko dekhūñ yā tirī ījād kī taraf
sadme pe sadme detā hai din raat marduvā
'shaidā' kabhī na jā.ūñgī jallād kī taraf
mera KHuda ho mujh mui nashad ki taraf
amman bhi bolti hain to damad ki taraf
aulad bhukon marti hai ghar mein safai hai
jhaDu-phira chala gaya baghdad ki taraf
jannat ki aarzu thi wo duniya se uTh gai
ab ja ke kya karun mue shaddad ki taraf
kya jaane kis ne Dal diya us ke dil mein bal
muD kar bhi dekhta nahin aulad ki taraf
munsif nigoDa dekh ke ranDi phisal paDa
bhaDwe ko kya KHayal ho rudad ki taraf
ghuTna jhuka to apni hi jaanib jhuka bahan
samdhan bhi bolne lagin damad ki taraf
is maut se kisi ko nahin ai bahan najat
lai hai gher gher ke jallad ki taraf
munh par to do hi aankhen hain pahlu tere hazar
ab tujh ko dekhun ya teri ijad ki taraf
sadme pe sadme deta hai din raat marduwa
'shaida' kabhi na jaungi jallad ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.