mera kitna KHayal karte ho
merā kitnā ḳhayāl karte ho
saañs lenā muhāl karte ho
ho vahāñ bhī jahāñ nahīñ maujūd
tum ye kaisā kamāl karte ho
ishq meñ hijr-o-vasl be-ma.anī
kis liye tum malāl karte ho
jānte ho ki ham tumhāre haiñ
phir bhī dil pā.emāl karte ho
ham ne dekhā hai ik zamāne ko
zindagī kyuuñ vabāl karte ho
mere iḳhlās kā karishma hai
jism-o-jāñ ko nihāl karte ho
kaun kyā hai ye jāntī huuñ 'sabīn'
us se tum kyā savāl karte ho
mera kitna KHayal karte ho
sans lena muhaal karte ho
ho wahan bhi jahan nahin maujud
tum ye kaisa kamal karte ho
ishq mein hijr-o-wasl be-mani
kis liye tum malal karte ho
jaante ho ki hum tumhaare hain
phir bhi dil paemal karte ho
hum ne dekha hai ek zamane ko
zindagi kyun wabaal karte ho
mere iKHlas ka karishma hai
jism-o-jaan ko nihaal karte ho
kaun kya hai ye jaanti hun 'sabin'
us se tum kya sawal karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.