mera lab-e-KHamosh agar iltija kare
merā lab-e-ḳhamosh agar iltijā kare
shāyad tirī nigāh-e-karam e'tinā kare
allāh zor-e-be-asarī kā bhalā kare
yaksāñ hai koī naala kare yā duā kare
dil e'timād-e-vāda-e-sabr-āzmā kare
kaam apnā terī shoḳhī-e-tāqat-rubā kare
us kā shabāb josh pe aa.e ḳhudā kare
dil zindagī se haath uThā kar duā kare
gar ho sake to itnā shahīd-e-jafā kare
teġh-e-nigāh-e-yār ke haq meñ duā kare
parvāna daur-e-gard-e-bisāt-e-umīd ho
dar-parda sham.a-e-bazm-e-mohabbat jalā kare
īzā-kushī kā daur bahār-e-hayāt hai
dil apnā gul-faroshī-e-dāġh-e-jafā kare
kuchh iḳhtiyār bhī hai jo majbūriyāñ haiñ kuchh
is kashmakash meñ kahiye to insān kyā kare
pahuñche ye arsh par bhī to parvā na ho unheñ
kahiye to naala merā rasā ho ke kyā kare
āh-e-falak-rasā se to kuchh bhī na ho sakā
shāyad ki kuchh bulandī-e-dast-e-duā kare
majbūrī-e-atam meñ hai zor iḳhtiyār kā
jo kaam mujh se ho na sake vo ḳhudā kare
qur.ān meñ likhā hai jo lā-taqnatū sarīh
zauq-e-nigāh kahiye to kyūñkar ḳhatā kare
kyoñ chheḌeñ shoḳhiyāñ dil-e-shorish-pasand ko
kyoñ baiThe baiThe koī qayāmat bapā kare
phir daam meñ phañsūñgā ki maiñ said-e-shauq huuñ
sayyād mashq ke liye mujh ko rihā kare
lab āshnā-e-ārzū-e-dil kabhī na ho
aur mājrā-e-ishq kā qissa huā kare
'bedil' jo mast ho ḳhabar-e-fasl-e-gul se vo
da.avā-e-pārsā.ī-e-be-sarfa kyā kare
mera lab-e-KHamosh agar iltija kare
shayad teri nigah-e-karam e'tina kare
allah zor-e-be-asari ka bhala kare
yaksan hai koi nala kare ya dua kare
dil e'timad-e-wada-e-sabr-azma kare
kaam apna teri shoKHi-e-taqat-ruba kare
us ka shabab josh pe aae KHuda kare
dil zindagi se hath uTha kar dua kare
gar ho sake to itna shahid-e-jafa kare
tegh-e-nigah-e-yar ke haq mein dua kare
parwana daur-e-gard-e-bisat-e-umid ho
dar-parda shama-e-bazm-e-mohabbat jala kare
iza-kushi ka daur bahaar-e-hayat hai
dil apna gul-faroshi-e-dagh-e-jafa kare
kuchh iKHtiyar bhi hai jo majburiyan hain kuchh
is kashmakash mein kahiye to insan kya kare
pahunche ye arsh par bhi to parwa na ho unhen
kahiye to nala mera rasa ho ke kya kare
aah-e-falak-rasa se to kuchh bhi na ho saka
shayad ki kuchh bulandi-e-dast-e-dua kare
majburi-e-atam mein hai zor iKHtiyar ka
jo kaam mujh se ho na sake wo KHuda kare
quran mein likha hai jo la-taqnatu sarih
zauq-e-nigah kahiye to kyunkar KHata kare
kyon chheDen shoKHiyan dil-e-shorish-pasand ko
kyon baiThe baiThe koi qayamat bapa kare
phir dam mein phansunga ki main said-e-shauq hun
sayyaad mashq ke liye mujh ko riha kare
lab aashna-e-arzu-e-dil kabhi na ho
aur majra-e-ishq ka qissa hua kare
'bedil' jo mast ho KHabar-e-fasl-e-gul se wo
dawa-e-parsai-e-be-sarfa kya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.