mera mazi meri yaadon mein simaT aaya hai
merā maazī merī yādoñ meñ simaT aaya hai
ek vīrāna sā āñkhoñ meñ simaT aaya hai
aise mahsūs huī tere badan kī ḳhushbū
itr jaise mirī sāñsoñ meñ simaT aaya hai
yuuñ ġhazal meñ tirī tasvīr banā.ī maiñ ne
terā chehra mire lafzoñ meñ simaT aaya hai
ab bhī zehnoñ meñ bahut kuchh hai abhī ye na kaho
'ilm duniyā kā kitāboñ meñ simaT aaya hai
din nikalne kī koī fikr nahīñ hai mujh ko
merā sūraj mirī rātoñ meñ simaT aaya hai
mera mazi meri yaadon mein simaT aaya hai
ek virana sa aankhon mein simaT aaya hai
aise mahsus hui tere badan ki KHushbu
itr jaise meri sanson mein simaT aaya hai
yun ghazal mein teri taswir banai main ne
tera chehra mere lafzon mein simaT aaya hai
ab bhi zehnon mein bahut kuchh hai abhi ye na kaho
'ilm duniya ka kitabon mein simaT aaya hai
din nikalne ki koi fikr nahin hai mujh ko
mera suraj meri raaton mein simaT aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.