mera mazi mere chehre se jhalakta hai zarur
merā maazī mire chehre se jhalaktā hai zarūr
mujh ko hālāt kī garmī kī shikāyat na ġhurūr
maslahat jaan ke kāñToñ kī qabā laa.e the
gul kī rangīn-qabā.ī ko parakhnā thā zarūr
kaun se bhes meñ mil jaa.eñ farishte hamdam
ḳhidmat-e-ins-o-bashar apnā farīza hai huzūr
vaqt ke saath badalne lagā ehsās kā rang
mujh ko is baat kā pahle se na thā koī shu.ūr
bārhā un ko rag-e-jāñ se qarīñ paayā hai
phir jo dekhā to nazar aate haiñ vo aaj bhī duur
aap be-vaj.h 'anīs' aaj pareshān na hoñ
ab kahāñ yaad unheñ vo dil-e-sāda kā qusūr
mera mazi mere chehre se jhalakta hai zarur
mujh ko haalat ki garmi ki shikayat na ghurur
maslahat jaan ke kanTon ki qaba lae the
gul ki rangin-qabai ko parakhna tha zarur
kaun se bhes mein mil jaen farishte hamdam
KHidmat-e-ins-o-bashar apna fariza hai huzur
waqt ke sath badalne laga ehsas ka rang
mujh ko is baat ka pahle se na tha koi shuur
barha un ko rag-e-jaan se qarin paya hai
phir jo dekha to nazar aate hain wo aaj bhi dur
aap be-wajh 'anis' aaj pareshan na hon
ab kahan yaad unhen wo dil-e-sada ka qusur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.