mera maqam sarhad-e-kaun-o-makan se dur
mera maqam sarhad-e-kaun-o-makan se dur
Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
MORE BYRaja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
merā maqām sarhad-e-kaun-o-makāñ se duur
manzil mirī zamīñ se pare āsmāñ se duur
din raat muztarib huuñ pa-e-sajda-e-niyāz
lekin paḌā huā huuñ tire āstāñ se duur
phir ranj-e-be-panāh se ghabrā rahā hai dil
yā-rab mirī bahār kuuñ rakhnā ḳhizāñ se duur
qudrat ke iltifāt kī dariyā-dilī na pūchh
bijlī girī bhī hai to mire āshiyāñ se duur
'jauhar' vo imbisāt kī ghaḌiyāñ kidhar ga.iiñ
duniyā udaas hai mirī us mehrbāñ se duur
mera maqam sarhad-e-kaun-o-makan se dur
manzil meri zamin se pare aasman se dur
din raat muztarib hun pa-e-sajda-e-niyaz
lekin paDa hua hun tere aastan se dur
phir ranj-e-be-panah se ghabra raha hai dil
ya-rab meri bahaar kun rakhna KHizan se dur
qudrat ke iltifat ki dariya-dili na puchh
bijli giri bhi hai to mere aashiyan se dur
'jauhar' wo imbisat ki ghaDiyan kidhar gain
duniya udas hai meri us mehrban se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.