mera maqsud-e-nazar lauh-e-muqaddar mein nahin
merā maqsūd-e-nazar lauh-e-muqaddar meñ nahīñ
maiñ vo motī DhūñDhtā huuñ jo samundar meñ nahīñ
baat karne kī bhī ab fursat nahīñ shāyad use
maiñ ne jab āvāz dī kahlā diyā ghar meñ nahīñ
kis tarah se dhoiye chehre se gard-e-māh-o-sāl
itne aañsū bhī to apne dīda-e-tar meñ nahīñ
jagmagā saktī ho jis se ḳhāmushī kī reg-e-dil
itnī āb-o-tāb āvāzoñ ke ḳhanjar meñ nahīñ
vāhimoñ ke bhuut ġham ke saa.e sannāTe ke naag
kaun sā aaseb ai 'tāhir' mire ghar meñ nahīñ
mera maqsud-e-nazar lauh-e-muqaddar mein nahin
main wo moti DhunDhta hun jo samundar mein nahin
baat karne ki bhi ab fursat nahin shayad use
main ne jab aawaz di kahla diya ghar mein nahin
kis tarah se dhoiye chehre se gard-e-mah-o-sal
itne aansu bhi to apne dida-e-tar mein nahin
jagmaga sakti ho jis se KHamushi ki reg-e-dil
itni aab-o-tab aawazon ke KHanjar mein nahin
wahimon ke bhut gham ke sae sannaTe ke nag
kaun sa aaseb ai 'tahir' mere ghar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.