mera mazaq-e-ishq hai ruswa kahen jise
merā mazāq-e-ishq hai rusvā kaheñ jise
hai raaz terā husn-e-muamma kaheñ jise
paidā kahā hai koī ki tujh sā kaheñ jise
tere sivā hai kaun piyārā kaheñ jise
phir kashtī-e-umīd ho sāhil se ham-kanār
itnā hī ho karam ki sahārā kaheñ jise
tā-zīst bekalī rahe tere firāq meñ
jaarī hoñ aise ashk ki dariyā kaheñ jise
ka.aba hai terā ghar dil-e-shaidā hai terā ghar
lekin vo aur kaun hai tujh sā kaheñ jise
ai barq-e-husn phūñk de mujh ko kuchh is tarah
sab dīda-e-kalīm kā surma kaheñ jise
phir kashtī-e-murād ko sāhil ke paas lā
phir maujzan ho rahm kā dariyā kaheñ jise
tūfān-e-ma.asiyat se mile jald-tar najāt
Daal aisī ik nazar ki vasīla kaheñ jise
nāhaq marīz-e-ishq kā karte haiñ vo ilaaj
taqdīr meñ kahāñ hai mudāvā kaheñ jise
paidā vo dard kar dil-e-ulfat-nasīb meñ
duniyā ke dekhne ko tamāshā kaheñ jise
dil ko tajalliyāt kī kirnoñ se de chamak
tārīkī-e-jahāñ kā ujālā kaheñ jise
nazzāra-e-jamāl se betāb ho na dil
vo zarf ho atā ki gavārā kaheñ jise
jo dil thā apnā mūnis-o-ġham-ḳhvār-o-jāñ-navāz
itnā kahāñ rahā hai ki apnā kaheñ jise
parde meñ chupke aah na kar tū hameñ ḳharāb
mil is tarah haqīqat-e-jalva kaheñ jise
dāmān-e-āfiyat hī ġhanīmat hai ai 'umar'
us par hī un ke zulm haiñ shaidā kaheñ jise
mera mazaq-e-ishq hai ruswa kahen jise
hai raaz tera husn-e-muamma kahen jise
paida kaha hai koi ki tujh sa kahen jise
tere siwa hai kaun piyara kahen jise
phir kashti-e-umid ho sahil se ham-kanar
itna hi ho karam ki sahaara kahen jise
ta-zist bekali rahe tere firaq mein
jari hon aise ashk ki dariya kahen jise
kaba hai tera ghar dil-e-shaida hai tera ghar
lekin wo aur kaun hai tujh sa kahen jise
ai barq-e-husn phunk de mujh ko kuchh is tarah
sab dida-e-kalim ka surma kahen jise
phir kashti-e-murad ko sahil ke pas la
phir maujzan ho rahm ka dariya kahen jise
tufan-e-masiyat se mile jald-tar najat
Dal aisi ek nazar ki wasila kahen jise
nahaq mariz-e-ishq ka karte hain wo ilaj
taqdir mein kahan hai mudawa kahen jise
paida wo dard kar dil-e-ulfat-nasib mein
duniya ke dekhne ko tamasha kahen jise
dil ko tajalliyat ki kirnon se de chamak
tariki-e-jahan ka ujala kahen jise
nazzara-e-jamal se betab ho na dil
wo zarf ho ata ki gawara kahen jise
jo dil tha apna munis-o-gham-KHwar-o-jaan-nawaz
itna kahan raha hai ki apna kahen jise
parde mein chupke aah na kar tu hamein KHarab
mil is tarah haqiqat-e-jalwa kahen jise
daman-e-afiyat hi ghanimat hai ai 'umar'
us par hi un ke zulm hain shaida kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.