mera nahin hai aur na kisi aur hi ka hai
merā nahīñ hai aur na kisī aur hī kā hai
partav jahāñ kahīñ hai tirī raushnī kā hai
panchhī daraḳht phuul to muñh Dhak ke so ga.e
jañgal meñ rāj-pāT bas ab chāñdnī kā hai
luTne kā Dar sahī pa mohabbat kī raah meñ
jaanā to usī galī se har ik aadmī kā hai
barsoñ purānā zaḳhm hai aisā harā magar
dekhe tabīb to vo kahe aaj hī kā hai
ghar jal rahā hai sāmne us ko bachā.iye
phir us ke ba.ad aglā makāñ aap hī kā hai
mera nahin hai aur na kisi aur hi ka hai
partaw jahan kahin hai teri raushni ka hai
panchhi daraKHt phul to munh Dhak ke so gae
jangal mein raj-paT bas ab chandni ka hai
luTne ka Dar sahi pa mohabbat ki rah mein
jaana to usi gali se har ek aadmi ka hai
barson purana zaKHm hai aisa hara magar
dekhe tabib to wo kahe aaj hi ka hai
ghar jal raha hai samne us ko bachaiye
phir us ke baad agla makan aap hi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.