mera rab jab raat banane lagta hai
merā rab jab raat banāne lagtā hai
din kā saarā bojh Thikāne lagtā hai
raat piyāla ḳhvāboñ se bhar jaa.e to
niiñd se terā ḳhvāb jagāne lagtā hai
bārish ke mausam meñ aksar shaam koī
mujh ko terī nazm sunāne lagtā hai
kabhī kabhī koī jaadū sā ho jaatā hai
aur koī sapnā sach ho jaane lagtā hai
khaḌā ho jā.ūñ paaoñ pe to merā saayā
āsmān ko haath lagāne lagtā hai
aatā hai jo darvāze kī darzoñ se
ghar meñ tere naqsh banāne lagtā hai
tum ne jo bāñdhā hai rasta peḌoñ se
mujh ko apne saath chalāne lagtā hai
shaam ga.e koī mere dil ke canvas par
ashkoñ se tasvīr banāne lagtā hai
mera rab jab raat banane lagta hai
din ka sara bojh Thikane lagta hai
raat piyala KHwabon se bhar jae to
nind se tera KHwab jagane lagta hai
barish ke mausam mein aksar sham koi
mujh ko teri nazm sunane lagta hai
kabhi kabhi koi jadu sa ho jata hai
aur koi sapna sach ho jaane lagta hai
khaDa ho jaun paon pe to mera saya
aasman ko hath lagane lagta hai
aata hai jo darwaze ki darzon se
ghar mein tere naqsh banane lagta hai
tum ne jo bandha hai rasta peDon se
mujh ko apne sath chalane lagta hai
sham gae koi mere dil ke canwas par
ashkon se taswir banane lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.