mera rasta badal gaya hota
merā rasta badal gayā hotā
tū bhī aage nikal gayā hotā
mo'tarif hotā ik jahāñ merā
maiñ jo gir kar sañbhal gayā hotā
na hī hotā gila kisī se mujhe
mujh se gar tū bahal gayā hotā
aa ke tere ḳhayāl meñ aksar
maiñ bhī sāñche meñ Dhal gayā hotā
ik nazar tum jo dekh lete mujhe
maiñ ḳhushī se machal gayā hotā
saath hotā jo aap kā 'ahmad'
hādisa sar se Tal gayā hotā
mera rasta badal gaya hota
tu bhi aage nikal gaya hota
mo'tarif hota ek jahan mera
main jo gir kar sanbhal gaya hota
na hi hota gila kisi se mujhe
mujh se gar tu bahal gaya hota
aa ke tere KHayal mein aksar
main bhi sanche mein Dhal gaya hota
ek nazar tum jo dekh lete mujhe
main KHushi se machal gaya hota
sath hota jo aap ka 'ahmad'
hadisa sar se Tal gaya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.