mera saya bhi agar bab-e-tarab tak aaya
merā saaya bhī agar bāb-e-tarab tak aayā
kahnā badnām-e-zamāna thā nasab tak aayā
dhund hī dhund thī har samt phir ik samt se maiñ
sāmne dikhtā huā apne aqab tak aayā
bad-nasībī meñ yahī baat burī hai yahī baat
koī bhī zahr nahīñ merī talab tak aayā
haath aa.ī huī ik mauj-e-fanā phail ga.ī
jab koī jhoñkā tire jān-ba-lab tak aayā
sharm se bhīgī huī poroñ meñ aTkā huā jhuuT
kabhī peshānī tak aayā kabhī lab tak aayā
mera saya bhi agar bab-e-tarab tak aaya
kahna badnam-e-zamana tha nasab tak aaya
dhund hi dhund thi har samt phir ek samt se main
samne dikhta hua apne aqab tak aaya
bad-nasibi mein yahi baat buri hai yahi baat
koi bhi zahr nahin meri talab tak aaya
hath aai hui ek mauj-e-fana phail gai
jab koi jhonka tere jaan-ba-lab tak aaya
sharm se bhigi hui poron mein aTka hua jhuT
kabhi peshani tak aaya kabhi lab tak aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.